Maa aur main
Ma ki mamta
Ma teri mamta hai misal,
Tujhme bhav sagar hai vishal.
Thujhko main par na pata hoon ,
Tujhko main seesh nawata hoon.
Tumko jab pas na pata hoon
Dukh sagar se ghir jata hoon.
Ma teri mamta.........
Jab kabhi hai man me uthta dwand,
Aur nischay na kar pata hoon.
Tab akar main teri saran
Har paheli ko suljhata hoon
Tab aakar main teri saran
Har paheli ko suljhata hoon.
Ma teri mamta......
Tab aakar main teri saran
Har paheli ko suljhata hoon.
Ma teri mamta......




Comments
Post a Comment