Pyar ka dard

                               atulpushkar.blogspot.com


                   Ek panchhi tha parwana sa.....

Ek panchhi tha parwana sa

Deewana sa mastana sa.
Khud men vo khoya rehta tha
Khud se hi baaten karta tha,
Apne sapno ki duniya me oonchi udane vo bharta tha tha
Ek panchhi...

Use kisi ki na thi fikar vo mastano sa rehta tha
Khud se hi baaten kar-kar ke vo jee bhar kar hans leta tha.
Phir pakad li usne nayi rah,
Vo hua kisi ka deewana tha
Ek panchhi........

Dheere dheere jab mastane ka chadha pyar parwana tha.
To hua uska ranjhe sa haal.pyar ne usko kiya behal
Fir un dono ka pyar dekh kar sara jag baurana tha ..
Ek panchhi.....

Par isi pyar ki rah me usko ek din dhokha khana tha
Pyar nhi mil sakta usko usne jab ye jaana tha.
Ki ho gya pyar ka surya ast,hua sansar uska veerana tha
Isi baat ke dard ke karan gayi khushi uski thi usse chhin
Ek panchhi....

Mile pyar me dard ke karan chhod diya jag usne tha
 Dukh bhari pyar ki ami kahani chhod gaya vo is jag me tha....
Ek panchhi... 
                                                                    Atul pushkar😅😨

Comments

Popular Posts